Do Aparichit
Tum aur mei,
Ek ahsas ke dor me bandhe
Do aparichit..
Ahsas,
Jo benam hokar bhi
Banaye jaa raha hai
Ek khas pehchan.
Tum aur mei…
Meelo ke phaslo me
Kareeb aate huai
Do aparichit…
Kareebiya itni ki
Tum saans lo toh
Humari dhadkan chalen.
Hum aahe bhare toh
Tum hichki bharon.
Tum aur me
Do alag rahon ke musafir,
Alag alag manzilo ki jise talash.
Phir kyun nazar aa raha hai tumme
Vahi..jiski shayad ki umar bhar talash?
Kyon mel khatee hai
Tumhare aakhon ke paas ki lakeere..
Mere haathon ki lakeeron ke saath.
Tum aur mei,
Ek ahsas ke benam
Pehchan se parichit
Doo aparachit! ! ! !
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.