Kaha Dhoondhe Kisko?
Kaha dhundhe kisko?
Jo mila,
Woh milke,
Khota hi gaya.
Kabhi ujalo ne jala diya.
Kabhi andhero ne cheepa liya.
Jo mila,
Khawab ban,
Oojhal hota hi gaya.
Badi mannate ki
Takdeeron se,
Kabhi bandh darwaza
Bandh hi raha
Toh,
kabhi khulkar bhi
Khali hi raha.
Kaha dhundhe kisko?
Ret ke gharondoo me?
Jo har lahar ke saath
Badle sahar?
Ya un baadloo me?
Jo har jhoke me
Badle nagar?
Bahut bhagee hai manzilon ke peeche..
Kabhi manzil badal gaye,
Toh
Kabhi rahee badal gayee.
Kaha dhundhe kisko?
Jo mila
Who milke
Khota hi gaya.
Kabhi ujalo ne jala diya.
Kabhi andhero ne cheepa liya.
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.