Kiski Khoj Mei
Kiski khoj me phirtee hai
Hum
Yahaa se vahaa
Khawabo ki basteeyon me
Chalta hai rangoo ka karobar
Sochtee hai,
Thoda rang le lete hai udhar.
Berang se jindagi ko
Shayad phir se
Ho jayee hum se pyaar.
Kyon rahte hai
Hum
Khud se yon khafa khafa
Kahi to bikti hogi
Bazaro me
Thodee se wafa.
thoda khud pe loota denge
thoda rakh lenge dil me cheepa.
Bewafa se sanse
Shayad phir na rahe
Hum se youn khafa khafa.
Kiske intezar me
Ye jeevan
Youn hai ruka ruka.
Koiee toh hoga kahi,
Jo ban kar rahe
sirf humare khuda.
Ibadat aur chahat ki takkar me,
Jo kabhi na ho jo humse judaa.-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.