Na jaane kab tak
Na jaane kab tak
Hootho ki hansi se
Palko ki naami ko
Cheepayee phirenge?
Dard ko kabhi dawa,
Kabhi duua mante rahenge?
Dil ki dhadkano aur
Chalti Saanso ko kab talak
Jindagi kehte rahenge?
Baandh aankho ki nahi
Khuli palko se dekhe ko
Kab tak khawab bulate rahenge?
Hum nahi jaante
Kab tak khuda ko nahi
Aapko rab bana
Yo hi
Poojte rahenge?
Eay saavan,
tum kab baarsoge?
Kya hum tab talak pyaase tarsenge?
Baaras jaoo na ek baar
Kam se kam tere bahane se
Hum bhi ro lenge
Aur pheele kajal ki sayahi me
Thoda chip kar jee lenge.
Na jaane kab tak
Hum yo hi
Kafan oodh ke
Dafn ka intezaar karenge?
Na jaane kab tak.-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.