Na Janee
Na janee kitna kah gayee
Aur
Kitna chipaa gaye.
Na janee kya kya likh gayee
Aur
Kitna mittaa gaye.
Manzil nahi hai
Aur
Na koi raasta
Phir bhi,
Anjaan se rahoo mai
Na janee kyon nikal pade.
Na janee Kaha se nikle the
Aur
Kaha pahuch gaye.
Na janee kya gila hai
Aur
Kis se shikwa kare
Belabz dastan hai
Na janee kis kis ko
Kya kya bayan kare.
Na janee dhadkanee aapni hi hai
Ya hai paraiee
Bahut toka humne
phir bhi
Na janee kyon yo betok dhadak gayee.
Dard ka shouk nahi hai,
Na gamo se koiee wasta,
Phir bhi
Na janee kyon dard shoukh se ban rahe hai
Aur
Gamoo se kuch nata sa ho chala hai.
Na janee kaha ko nikle the
Na janee kaha pahuch gayee..-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.