Parichay
Poochu kisse parichay aapna
Mei khud se aanjaan
Barso se parkha hai khud ko
Baanker ke vidwan.
Har baras
dar baras
Badle hai pehchan mere
Herat mei hai jaan.
Har pal badalta
Ek ek pal mei machalta
Kabhi dhalta, kabhi nikharta
Paraspar badalta
Mera aastitwa
meri pehchan
kabhi dhoondha hai
kisi ki aakho ke pratibimb mei
to
kabhi paya hai
kisi ki ajnabi se muskan mei.
Mei ek
aur mujhme
na jane
kitne anek.
Ek ko jaanu to
Dooja ho jaye
Pal hi mei mehman.
Sthirta ki moorat mei
Kan kan aasthirta se bhara
Meri shinakt.
Poochu kisse parichay aapna
Mei khud se aanjaan
-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.