Shaam K Baad! (Urdu)
Hum jhatak detay hen ehsas tera shaam k baad
phir bhi kyun lgti he be-aas nigah shaam k baad
dil sar-e-shaam hi iss tarha sulag uthhta he
jis tarha taaq pe jalti he shama shaam k baad
yeh to naadan say bachhay ki tarha rota hay
mangta rehta he subho ki faza shaam k baad
jaanay kis khass khilonay ki talab hay iss ko
dil ko bhaati nhi taaron ki zia shaam k baad
koi sa'yil ya farishta he khuda hi janay
dard lehjay me jo deta he sada shaam k baad
mujhko charhtay huay suraj ki tarha kafi hay
jalta rehne do koi ek dia shaam k baad
seh peher tk to zamaanay say mila kartay hen
khud say hoti hay mulaaqat sada shaam k baad
in hi lamhon me ibaadat ka maza milta hay
kyun k milta he haqeeqat me khuda shaam k baad
khol kr arsh k taalon ko khuda betha hay
kese lotay gi bhala maa ki dua shaam k baad
dekh kr teray charaaghon ko palat jaati hun
mujh se kehti hay meri dost hawa shaam k baad
abr barsa nhi dil khol k shayad uss ko
ghairat-e nafs ne ronay na dia shaam k baad
itni heraan Batool aj hay khud pr kyun k
aaj hr giz na ussay yaad kia shaam k baad...
poem by Shahzia Batool
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
No comments until now.