Latest quotes | Random quotes | Vote! | Latest comments | Submit quote

Aaj Mann Behad Udas Hai

Aaj mann behad udas hai,
Kah do meeghoo se,
Ke itna shor na kare
Mehfil me dil
youn hi tanha hai.
Kah do boondo se
Ke itna na barse
Palke ye yo hi nam hai.

Aaj mann behad udas hai,
Dil thoda khali tha,
Thoda tha bhara bhara.
Mann tanha, aakela tha
Par kam se kam
Kadmo pe the baadal.
Na ye sham ka
Syah aandhera.
Mujhko na tha yo aapne
Uudte rahne se gila.

Aaj mann behad udas hai,
Kajal thoda behta hai,
Thoda hai laga hua.
Jaane kab tak saavan barsenge
Jis oot hum
Chip chip royeenge.
saavan baad hum
kaha tarsenge
Aaj mann behad udas hai.-anjali

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Related quotes

Mann Toh Mann Hai

Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.

Lakh talo me rah kar bhi
uuse kon bandi bana paya hai.
Dekho to uuadan uski
Chand lamho mei
Vo to kitne brahmand
Bhraman kar aaya hai.

Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.

Tan ko to bandh liya
kadiyo se.
Kabhi diwaroo mein
Kabhi dooriyo mein
Mann ke aashwo ki
Doowd kaun, kaha,
rok paya hai

Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.

mann doodaye
mann hasaye
mann roolaye
mann ki mahima
kya kabhi kooie jaan paya hai.

Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai

mann chanchal hai,
jharno sa
baadlo mein chamakti bijjliyo sa.
mann paavan hai
pooja mein chadhe puspo sa.
mann pischash hai
khoon mooh lage narbhakshi sa.

par phir,

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Din na beete..na beett ti ye raat

Din na beete
na beettti hai raat,
yaad me aapke
na subah ka hota hai ujjala
na khatam hoti kali se ye raat.
Rook paate aapko
Palko ke darmayan
Itni na thi kabiliyat
Na hi koi chah.
Phir kho kar aapko
Kyon hota hai ye mann udass.
Bemanzil rahee thi
tanha musafir the.
Phir kuch pal ke saath se
Kyoun ho gaya hume
Aapke humsafar hone ka
Ehsas?
Jante thee
dil tab bhi Tha tanha,
Kal bhi rahega tanha
Phir tanhaee kyoun
Lage itni tanha
Aur dil itna khali
Aapke bina.
Sannate se ghabrate hai
Shor me sambhal jaate hai
Ab shor bhi lage hai sannata
Jaane ab kab sammbhalanga
Ye mann mera
bhulbhuliya me jo khoya
sa hai aaj.
Din na beete
na beettti hai raat- anjali

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Ajnabee Mera Mann

Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare?
Koi sandook do,
Tala laga,
Chaabi samandar ko sonp aaye.
Ya phir,
Sandook hi ko
Samandar me pheek aaye.
Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare?
Koi khoota ho,
Baedi phasa,
Bandh ke rakhe,
Ya phir,
Khoote ke hi supurd
Mann aur baedi kar aaye.
Par
Kya kare
Mann hai,
Dhadkan mei basta hai,
Seene me rahta hai
Aur vahi se,
Sara shor karta hai.
Jakhmi hai,
Darun vilap karta hai,
Kabhi beraham,
Aatahas karta hai,
Lakh samjzhaye
Nahi samajhta,
Kabhi bina kahe hi
Maan jata hai.
Kabhi bahti nadiya se bhi
Pyaasa lout aata hai,
To kabhi,
Bul bule par
aapni shristi loota aata hai.
Koi kahe,
Koi toh kahe….
Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare? -anjali

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Dil Ka Khalipan! ! ! !

Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai
Dil ka khalipan
Na jaane kya chahta hai..

Jal mei bhi pyasa hai
Poora hokar bhi aadhoora hai..

Ye begana aakhir kya chahta hai..

Ghar ki chat ke neeche hokar
Bhi hai beghar..
Manzil pakar bhi bemanzil..

Aakhir banzara yeh mann,
Kyun galiyon me bhatakta hai..

Bhara bhara sa har waqt,
Phir bhi hai khali..
Jhake har manzar manzar
Gali gali..

Aakhir ye mann kya dhoondhta hai?

Kyun har lamha hai
Raste me nazaree gadhaye..
Kiske intezar mei
Palke beechayee?

Dil ka khalipan
Aakhir kya chahta hai?
Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Gazal Badi Ajeeb hai ye Zindagi in hindi by deepak kumar deep

Badi ajeeb hai ye zindagi,
khushi ek pal ke liye
dukh verson baras ke liye
koi sukh chahta hai is jeevan me
to usse dukhon ki bhari bori hi mil jati hai
jahan foolon ke milne ki aaasha hai
wahan katon ki sej bich jati hai
Badi ajeeb hai ye zindagi.....................

Kuch satya kuch ghooth
Kabhi aasha kabhi nirasha
kabhi sawpno ko pane ki lalasa
inhi me ulagh kar rah gayi hai zindagi
Badi ajeeb hai hai ye zindagi................

Kabhi jati kabhi varn
Kabhi bhasha kabhi dharm
viwadoke ghere me hai aaj ki sanskriti
kaise kahen, kya yahi hai zindagi?
badi ajeeb hai ye zindagi...........

Pyar doge pyar milega
satkar doge samman milega
mehanat se har chij hai sambhav
kam se chori hai dukh ka anubhav
ham jaisa hain sochte nahi hai aisi zindagi?
fier bhi log kahte hain,
badi ajeeb hai ye zindagi.............

Manav jeevan ek baar hai mita
nahi milta hai barambar
har manav se pyar karen
nafrat ko de dutkar
Krodha chod dhairya apnayen
paap chod punya kamayen
ye dharti hai dharam ki
jitni marji fasal ugayen
Ek baar yatan kar dekhen-
Hai khusnasheeb ye zindagi
nahi hai ajeeb ye zindagifir bhi log kahte hai,
badi ajeeb hai ye zindagi.........

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Phagoon Ki Raasta Khoi Hawa

Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?

Sara jahan hai..
Kabi mutthi me,
To kabhi
Kadmo tale,
Phir bhi jaane kya chahte hai?
Na jaane kis ki khoj me rehta hai,
dil bechara.

Kyon aasthir hai?
Itna asantust,
Itna vyakul ye mann mera?
Peeneko toh puri dariya hai
Na jaane phir kyoun lout aate hai
Pyase he kinare se
Lekar koi naam anjana.

Kyoun nahi chal paate hai
Un raasto par
Jis par chalta hai jag sara?
Na jaane kyoun bhatakte phirte hai
Pagdandi, pagdandi
Jangal, khalihan sara?

Shayad phagoon ki
Rasta khoyee hawa hain,
Kabhi ek tinke se jala dete hai
tamam umar ki kamaiee,
Kabhi usi tinke koi bana lete hai
Doobte ki parchyee.

Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Ye Kaisa Rishta Hai

Ye kaisa rishta hai

Ye kaisa rishta hai
jise na nibha paate hai
Na tood paate hai.
Phir bhi janmo tak
Salamat rahe
Yeh dua karte hai.

Ye kaisa bandhan hai
Jise na yaad karte hai
Na bhul paate hai
Saapno me hi sahi
Sang raho
Yeh tammanna rakhte hai.

Ye kaise lou hai
Jise na jala sakte hai
Na bujha paate hai
Sulagti rahe
Dil me sada
Ye saja lete hai.

Ye kaisa rog hai
Jise na dikha paate hai
Na chiipa paate hai
Dard ko gale se laga
Mann me basaye phirte hai.

Ye kaisa rishta hai

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Awareness poem in Hindi by Deepak kumar deep

Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?

Dhadhak rahen hai dil par hoth hain band
Iltaza hai kuch kahne ki
Par! sari nakam koshish
Mai chala gaya tha mudon ke shahar me
The naam wahan gude huwe sunhare patthron par

Wo bebas the, chilla rahe the,
Ro rahe the apni lachari par
Zuban na thepaas unke, kuch kahne ko
Kyonki wo bebas the lachar the……
Jane laga jab wahan se main
Pukar rahi thi wo sari lashen mughe
Chilla chilla kar kar kah rahi thi-
Mat banna aise, jaise the mere karm
Yaad kar un baton ko, aati mughe abs harm
Banna tha jab narm mughe, huwa main narm
Andhvishwashon me ghira tha mera apna dharm….

Jao jakar bata do unko
Meri tarah hi unka hoga haal
Maine ta umernahi ki bhakti, sirf kiya dikhawa
Jo bana aaj ka sawal
Maine apna waqut gawaya, duniyawi such ko pane me
Shareer ko sajane me,
Imarte banana me,
Danga fasad karne karane me
Par zara bhi na diya dhyan
Manav jeevan sawarne me.

Murakhta aur pagalpan ki bhi had hoti hai
Maine samay ke satguru ko nahi pahchana
Sirf libas dekha, shaklon par dhokha khakar
Har yug me maine mara taana.

Main bhi kitna badnaseeb tha
Manjeel mere karib tha
Phir bhi daud raha tha paglon ki tarah
Wo waqut bhi kaisa ajeeb tha.
Khair! Min to apne kiye ki bhugat raha hoon
Par jao jakar kahna un ghamandi, ahankari, papai,
durachari, anachari, Vyabhichari, atyachari logon se

Kyon kar raha hai apne aap se gaddaari.
Kar le apne aapki pahchan
Kaun hai tu? Kya hai tera asthan?

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Kiski Khoj Mei

Kiski khoj me phirtee hai
Hum
Yahaa se vahaa
Khawabo ki basteeyon me
Chalta hai rangoo ka karobar
Sochtee hai,
Thoda rang le lete hai udhar.
Berang se jindagi ko
Shayad phir se
Ho jayee hum se pyaar.
Kyon rahte hai
Hum
Khud se yon khafa khafa
Kahi to bikti hogi
Bazaro me
Thodee se wafa.
thoda khud pe loota denge
thoda rakh lenge dil me cheepa.
Bewafa se sanse
Shayad phir na rahe
Hum se youn khafa khafa.
Kiske intezar me
Ye jeevan
Youn hai ruka ruka.
Koiee toh hoga kahi,
Jo ban kar rahe
sirf humare khuda.
Ibadat aur chahat ki takkar me,
Jo kabhi na ho jo humse judaa.-anjali

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Halke Halke se

Ye hume halke halke se
Kya hone laga hai?
Kora kagaz humara
Rangoo se bharne laga hai,
Ya humari nazre hi rangeen ho chali hai?

Hum badal rahe hai,
Ya aaina badal gaya hai,
Kuch din huai
Bada raas aane laga hai.

Dekhte hai, nayano me
Kajal khoob bhane laga hai,
Ye humare nayan badal gaye hai
Ya phir kajal hi badal chala hai.

Tum sang,
Choori ke chand lamho mei
Jee lete hai aapni,
Aarso ki jindagi,
Ye lamhe jindagi ban chale hai,
Ya jindagi lamho mei simat chalee hai.

Tum me hum me hai janmoo ka phasla
Tum parayee,
Hum ek doosri duniya me base basayee.
Ye kya hone laga hai?
Janmoo ka phasla kam ho raha hai,
Ya, tamam janm ise janam me mil gaya hai.

Tum parayee hokar bhi,
Aapne se lag rahe ho.
Ye parayee aapne ho gaye hai,
Ya hum khud se parayee ho chale hai.

Ye hume halke halke se
Kya hoone laga hai…..?

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Khamoshi

Thodi sone si dhoop he...
Thodi chandi si chandni...
Thoda gam tumhe bhi he...
Thoda mujhe bhi...
Thodi bebasi he... Aankhe teri bhi nam he
Meri bhi...
Chal aaj fir ithlate he... muskurate he...
Aaj dil se puchha aakhir tu kyu khamosh he...


Hotho pe jo baat kabhi aa na saki...
Aankho me wo kyon zalakne lagi?
Khamoshi ka ye sama kab tak chalega...
Pattiyo ne mujhse kaha 'duniya me aisa hi hota he'
Jugnu ke pichhe pichhe pata nahi kaha chale aaye...
Shayad wo wadiya kho gai he...
Aaj dilse puchha aakhir tu kyu khamosh he...


Nange pair chale the wo raho par...
Aaj rahe bhi alag he aur manzile bhi...
Jab jab gam ka badal chhaya jane kyu jee ghabraya...
Aankho ke rang kabhi na dekh paye hum...
Thode rang mere bhi berang he...
Thode rang tere bhi berang he...
Aaj dilse puchha aakhir tu kyu kamosh he...


Waqt ne mujhe bhi nachaya he...tujhe bhi...
Sab is waqt ki kathputliya he...
Ek din ye sans bhi khamosh ho jayegi...
Ye jo gehre sannate he...
Chikhti hui lehro ki god me..
Kyu tu soya he...
Aaj dilse puchha aakhir tu kyu khamosh he....


Aakhir tu kyu khamosh he.....

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Kuch Naya Sa

Pee ke ladkhadana
aur ladkhada ke sambhal jana to saaki
Purani aadat thi,
Youn bin piye ladkhadana
aur ladkhadayee he jaana
yeh,
nayee bala hai.

Chot khakar dard me tadpna
aur tadap kar roo jana
to theek tha,
youn bina chot dard me chatpatana
aur chatpatahat mei chein pana,
yeh,
naya marz hai.

Jang me jeetna aur
uska jashn manana
Riwaz hai purana,
Youn bin lade sabkuch haar jaana
Phir haar ka jashn manana,
yeh,
Naya dastoor hai.

Kuch paana, aur paakar khona
Toh samajh aata hai,
Youn bin kuch paaye hi sab kuch khoo dena
yeh,
Naya sa ahsas hai.

Pee ke ladkhadana
aur ladkhada ke sambhal jana to saaki
Purani aadat thi,
Youn bin piye ladkhadana
aur ladkhadayee he jaana
yeh,
nayee bala hai.

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Kyon?

Kabhi hum aapko dhundhte hai.
Kabhi aap humko dhundhte ho.
Bheed me jamane ki
Khoye hai,
Shayad dono kahi.
Ya bandhe huai hai,
Baediyoo se,
Khud ko yo hi.
Phir bhi
Dhundhte hai
Nain aapko
Nirantar
Yo hi.

Kuch hai jo joode rakhta hai
Humko,
Samay ki parato ke pare.
Kuch hai jo bandhe rakhta hai
Aap ke mann se mujhe.
Tamam swachand hone ki
Koshishso se pare.

Hum bhid me kho kar dekh liye.
Bhag kar samay se pehle nikalne
Ki koshish kar liye.
Chip kar tammam pardo ke
Peeche ho liye.
Auur har baar
Khud ko,
Aapko dekhte paya humne.
Har baar
Paya aapko bhi
Yo hi
Khojte huai.
Bheed ko pyyasi aakho se takte huai.
Phir dekh kar humko
Oot me chipte huai.

Kis se chip rahe hai?
Khud se,
kab tak yo hi chipte phirengee?
Dard ke selab me
Yo hi doobte rahenge?

mana,
Ye galat hai,
Aapka mera yo
Benam rishton me joodna.
Ye galat hai,
Beboonyaad se dhadhkano ko

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Kaise Banayen Riste

Gazal- Kaise banayen riste


Buland hain irade dushmani ke aaj
Kaise banaye rishte dosti ke aaj

Hinsa hawas me, hai bhukh daulat ki
Maksad ban gaye hain, Zindagi ke aaj

Kare- khair dekhe nahi aabgeenon me
Ye salika hai nahi bandage ke aaj

Shkal surat me Manavta nahi shyad
Paribhasha hai nahi aadmi ke aaj

Nafrat bhare dil me, jab “deep” jala nahi
Pyar ho saka na issi kami ke aaj


Writer
Deepak kumar deep
Editor, Singer, Writer
20-07-07

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Namankaran

Gumnam se is rishtey ka
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Nadiyo ke milne ko
Kahte hai sangam
Sapno ke Milan ko Bhi
koi nam diya jaye.
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Khuli aakho se dekhe
To kahlaye vastav
Bandh aakho se dekhe
To kahlaye khabb
Khuli aakho se dekhe
Khabbo ka bhi
Koi nam diya jaaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Kuch gaam aakho ko rulaye
Kuch dil ko dahlaye
Kuch rooho ko hilaye
Jo gam dukhakar bhi bhaye
Un gamo ka aalag kuch
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

Tan ke Milan
Aur man ke Milan
Ke to hai laakho nam
Rooho ke Milan ka bhi chalo
Koi nam rakha jaye
Ho kar bhi jo hai nahi
Is aahsase khas ko
Koi takht diya jaye.

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Zindagi

Kabhi socha na tha, ek din zindagi is kadsr ruth jayegi
Mangege khushi to tanha chorh jayegi
Khushiya to jese lehre hai
Or ye zindagi ek sahil
Na jane kyu aaj dil udaas hai
Dil ko shayad kisi ka intzaar hai...
Khushi khilaf hai mere
Magar dard ko mjhpe naaz hai
Seh liya maine bina kuch bole use...
Chalti rahi har kanto me...
Aakho me nami thi
Bs aasu peeke,
or dard sehke jinda hu aaj
Ehsaas hua ki ek gum hi mera apna hai, to tanhai mera sahara hai... Hr pal drd ko apne kareeb rkhti hun,
Kbi kbi jhalakta hai ye aakho se
........

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Perdess (A poem written in URDU)

Perdess kai hai tu kai janey…Aagan mera soona hai
Na koi humdam, na koi mukhlis…ye bhi koi jeena hai
Yaad sata-ey hai mujh ko jehan bachpan guzra pyar-oon mai
Uss deis ki mati ki khushboo aaj bhi hai fazaoon mai
Betay dinoon ki yadeen hain..aik khawab sa ab ye lagta hai
Kahan sey doon-oon tujh ko Maa..mera agaan kitna soona hai
Na koi chitty aatey hai aur na koi dastak deta hai
Kiss see ab faryad karoon…dil buhat ye roota hai
Iss des mai mera dana pani kyon kilha tu ne ae rab
Bechar geye meray chanay walay…kahan sey doond kay la-oon ab
Tanha iss safar mai hoon aur kathin hain saab rastay
Kisey kismet hai mery…Reham kar khuda ka wastay.

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Mujhe Aaj Jaane Na Do

Rok lo
Bas, Aaj rok lo
Mujhe jaane na do.

Ke dum tood dene do
Bas tham kar haath mera
Tum raho.
Shayad,
Dard thoda kam hoga.

Rok lo,
Tumhe shayad maloom na ho
Ek chota sa gharonda hai
Hamara,
Tumhare dil he mei.
Hume youn beghar na karo.

Rok lo,
Tumhe shayad maloom na ho
Sanso se tumhare
Kahi bandhi hai bandhan
Humare sanso ki
Hume youn jeete ji dafn na karo.

Rok lo
Hume youn rooth kar jaane na do
Tumhe shayad maloom na ho
Mere nazro ke darpan me dekho
Tumhi chayya
Tumhi pratibimb mere.
Tumhi ho rab
Tumhi maseeha mere.
Tumhi jawab
Tumhi enteha mere.
Tumhi ho labzj
Tumhi khamoshi mere.
Tumhi raasta
Tumhi manzil mere.

Rok lo
Bas Aaj rok lo
Mujhe jaane na do.
-anjali

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Hindi Poem- Ankahi

Aaj kagaz pe syahi failane ka man to bahut hain,
Par kuch nahi hain khas,
Kash aaj main kuch likh pati,
Kash kuch keh pati,
Par pata nahi kyun,
Aaj shabd nahi hain mere pas,
Kin khayaalo ke bare me sochu main,
Jab kuch lamhe hi nahi saheje apne pas,
Kuch dhundhli yaadein bhi nahi mere sath,
Kya bayaan karu aaj jazbaat apne,
Kuch jazbaat hi nahi mere pas,
Jazbaat chodo,
Lagta hai aaj kehne ko to apni saasein bhi nahi mere pas,
Log kehte hai... jazbaat aur saasein to dil me basti hain,
Lagta hain... Aaj shayad dil hi nahi mere pas....

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Desh ki khatir

Bhadta hi ja raha hai Karwan
Aazadi ke Deewano ka
Kya khoob nazara hai
Shamma ke Parwano ka

Ched diya hai jung dusra
Bhrashtachar ki khatir
Nahi chodna hai unko
Ho chahe jitney bhi Shatir

Kin Shabdon me tariff karun
desh hamara bada kimti
Isko hame nahi hai khona
meri yahi hai tumse Vinti

Jaago zara neend se apne
Desh ko har haal me bachana hai
Hamari khatir lad rahe jo
Hame unka sath nibhana hai

Sone ki chidiyon wala desh
Aaj mahangai ke hanthon mar raha
Corruption bhi badha hai itna
Sab kuch hi khona pad raha

Lokpal bill ko lana hai
Bhrashtachar mitana hai
Sabhi ko rojgar dilakar
Berozgari ko hatana hai.

Gar Khatam huwa bhrashtachar
Khushiyan aayengi besumar
Jhel rahe jo mahangai ki maar
“Deep” sawarega ghar sansar.

Poet
Deepak Kumar 'deep'
16-09-2011

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share
 

Search


Recent searches | Top searches