Mann Toh Mann Hai
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
Lakh talo me rah kar bhi
uuse kon bandi bana paya hai.
Dekho to uuadan uski
Chand lamho mei
Vo to kitne brahmand
Bhraman kar aaya hai.
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
Tan ko to bandh liya
kadiyo se.
Kabhi diwaroo mein
Kabhi dooriyo mein
Mann ke aashwo ki
Doowd kaun, kaha,
rok paya hai
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
mann doodaye
mann hasaye
mann roolaye
mann ki mahima
kya kabhi kooie jaan paya hai.
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai
mann chanchal hai,
jharno sa
baadlo mein chamakti bijjliyo sa.
mann paavan hai
pooja mein chadhe puspo sa.
mann pischash hai
khoon mooh lage narbhakshi sa.
par phir,
[...] Read more
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!