Mrigtrishna
Raato ko,
Subah ke intezar me
Ek mrig tha jagta.
Aur po phate hi
Indradhanush ki tak me
Tak- taki laga
Shitij par tha zhakta.
Rango bhara, ranggen tha
Nipun, tej, haseen tha.
Na jaane kyou phir bhi
Indradhanush ke rangoo par
Kyon jaan warta.
Marichika hai, marusthal hai
Yeh mrig hai jaanta
Parantu,
Uusee marichika ke peeche
Nirantar, paraspar bhagta.
Phir sahi galat ke yudh me
Paraspar khud hi harta.
Vyatha thi,
Ya mazboori
Ya kahe pagalpan,
Pratibimb khud ki dekh
Aaparichit
Baar baar parichay mangta.
Phir bhi..
Raat hi se
Subah ke intezar mei
Vah mrig tha jagta…
-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!