Phagoon Ki Raasta Khoi Hawa
Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?
Sara jahan hai..
Kabi mutthi me,
To kabhi
Kadmo tale,
Phir bhi jaane kya chahte hai?
Na jaane kis ki khoj me rehta hai,
dil bechara.
Kyon aasthir hai?
Itna asantust,
Itna vyakul ye mann mera?
Peeneko toh puri dariya hai
Na jaane phir kyoun lout aate hai
Pyase he kinare se
Lekar koi naam anjana.
Kyoun nahi chal paate hai
Un raasto par
Jis par chalta hai jag sara?
Na jaane kyoun bhatakte phirte hai
Pagdandi, pagdandi
Jangal, khalihan sara?
Shayad phagoon ki
Rasta khoyee hawa hain,
Kabhi ek tinke se jala dete hai
tamam umar ki kamaiee,
Kabhi usi tinke koi bana lete hai
Doobte ki parchyee.
Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!