Tumme humme jo hai khas
Na jaane tumme-hum me,
Kya khas hai
Jo batayee nahi banti,
Chipayee nahi chipti.
Bahut rooka raab ko
Par,
Cheep cheep kar
Tumme voh dikhta hi raha.
Bahut tooka khud ko
Par,
Ruk ruk kar,
Tum par voh lootta hi raha.
Kaie baar soocha tumko
Seene se nikal
Jamee par khada kareen
Par,
Jamee ne jagah nahi di
Aur
Seene ne raasta.
Tumhe seene me kaid kar,
Hum jamee par raasta khojte rahe.
Tum kabhi thee?
Tum nahi thee,
Kabhi nahi,
Aaj bhi nahi ho,
Aur kal ki ummeed kya Karen
Shayad kal toh
Hota hi hai nahi…
Par,
Phir bhi tumhari rah par
Palke bicha,
Yeh soochte hai…
Na jaane tumme hum me,
Kya khas hai
Jo batayee nahi banti,
Chipayee nahi chipti.
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!