Urdu Ghazal
Jo eik bojh tha dil par use utaar aaye,
Khushi mili to use hum kahin guzaar aaye,
Hamaare gham ne hamein is tarah nikhar diya,
Ki jaise ose koi phool ko nikhar aaye,
Abhi bhi hook si uthti hai dil ki sarhad par,
Abhi bhi sail woh ashkon ka bar-bar aaye,
Hamari jeet se kitno ko mil gayee himmat,
Hamari haar se unko na ab qaraar aaye,
Khud apni aag mein jal kar woh ban gaya kundan,
Swaad-e-zeest mein gham se jo hamkanaar aaye,
Ghamo ki dhoop khili hai hamare maathe par,
Khuda kare ki ye mausam bhi saazgar aaye,
Mere qaraar ko bulbul koi gulistan se,
Kaho ki chchod ke ab mausam-e-bahaar aaye,
Akheer raat hai 'Akmal' ki badnaseebi ki,
Koi sukoon pe uske na aaj baar aaye.
poem by Mohammad Akmal Nazir
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!