Ik Prem Pujaran. [A poem in Hindi ]
Ik prem pujaran
Liye vyakul man
Tadpti aatma
Aur dukhta tan
Nikli ghar se
Ik aas liye
Kuchh sahmi si
Kuchh ghabrati
Kabhi lajati aur kabhi todti
Vidroh se har bandhan
Aa pohanchhi jahan basti thhi chhah
Man to thha ik prem ka sagar
Tan mangta aalingan ka sukh
Par premi na samjha pujaran ka dukh
Shaied samjha bhi
Shaied apne hi dukh mein lein ho
Bhool gaya pujaran ke dukh ko.
Utaijit ho chhal pada pujaran ke sang
Kahan kidhar koi thhah na thhi
Itne bade sansar mein mano
Unke liye koi gah na thhi.
Aakhir saham ik kone mein baithe
Lage ik doje ko daikhne
Aankhein to ik duje se bolien
Aur bolien do aatmaien bhi
Par tan ka dukh ho gaya ahir.
Tab ik badal laga barasne
Pujaran ke matware naino se
Jise dekh hua vyakul woh
Aur laga kosne iss jeevan ko;
Iss sansar ko jis mein
Pyar to thha kam par thhey kitne bandhan
Tab sar uske kaandhe par rakh kar
Pujaran ne kiya sanket laot chhalne ko
Ik pagal goonga ho jaise
Na kuchh samjha na sooach saka woh
Aur chhal pada uske sang
Kahan kidhar koi kya jane...............[1972]
poem by Om Chawla
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!