Kuchh Bhi to Nahein Hai Naam Mein Mere. [A poem in Hindi]
Kuchh bhi to nahien hai naam mein mere
Na koi arth hai na mahatav hi
Samay ke raigistan mein jaisey
Tum ne ik naam likha tha
Jo mit sa gaya hai
Waqt ki aandhi se.
Ab jab teri nai duniya mein
Naiye saathi sang hain tere
Kya rakha hai beeti yaadon mein
Bharte rahein aanso in aankhon mein
Rait par likha hua ik shabd tha mein
Jo mit sa gaya hoon.
Lekin jab bhi naiye sab saathi
Sang chhod tujhe peddit kar dein
Naam tum lena mera priye tab
Aur moorat kar ke yaad tum meri
Kehna thha ik sachha shaksh bhi
Jiske pyaar ne jeevan mein thhey
Aashaon ke phool bikhere
Jise waqt nigal gaya hai
Aur jo yaadon ke aakash mein
Ik tara ban kar chamak raha hai
Chhahey uska koi naam nahien hai........[1992]
poem by Om Chawla
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!