Woh Sawan Tha, Yeh bhadon Hai. [ Poem in Hindi]
Woh sawan tha jo beet gaya
Tab paydon par jhuley jholti thi
Allhad masst jawani
Ik pal barasta tha paani
Dujey pal dhoop nikalti thi
Ik pal hum mil kar hanstey thay
Dujey pal virha mein jaltey thay
Woh sawan tha jo beet gaya.
Yeh bhadon hai
Iss ki vyatha main kis se kahoon
Na tum ho priyey
Na koi humdum
Ab jab bhi barkha hoti hai
Toa bas barkha hi hoti hai
Umeed ab tere aane ki
Iss pal kabhi sehlati nahien
Be- bass yeh jeevan lagta hai
Vyarth yeh duniya lagti hai
Yeh bhadon hai
Iss ki vyatha main kis se kahon
Yaadon ke athah samunder main
Jab lehren hilorey layti hain
Aakash main badal garajte jab
Mann par bijli si girti hai
Aur pass nahien tum hoti jab
Nainon se paani barasta hai
Ab jab bhi barkha hoti hai
Toa bas barkha hi hoti hai. [1973]
poem by Om Chawla
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!