Aao suraj ko ufaq paar utarta dekhen!
Kuchh naya kaam karen
or sochen
khud ko be-rubt khayalon k hawalay kr den
phir ye dekhen
kahan, kis tarha se kia hota he...
raat aati he kahan se
abhi chal kr dekhen
chaand ko dusri janib se palat kr dekhen
yeh jo rukhsaar-e-falak pr he shafaq...kesi he?
aao dekhen k dhanak rang ki shokhi me neha'n
raaz kia he k jo heraan kiye deta he?
neend wadi me yeh khwabon ka basera he kidhar?
khwab kia cheez hen
chal kr unhen choo kr dekhen
chandni shab ko chanaaron pe bikharta dekhen
aasmanon ko bahaaron me nikharta dekhen
aao suraj ko ufaq paar utarta dekhen! ! !
poem by Shahzia Batool
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!