December! ! !
Ab k phir December hay
khirkiyon k pardon say
jhaank kr zara dekho
kesa sard mosum hay
bheega bheega manzar hay
soi soi shaamen hen
hum hen or yaden hen
kyun na apni yadon say
gard jharr kr dekhen
soey soey jazbon ko
phir ubhaar kr dekhen
sath sath ye puchhen
zakam zakhm yadon se
khoon to nahi rista?
dilfigaar sapnon ko
chot to nahi lagti?
Phir jab in sawaalon ka
jo jawab bhi aey
uss ko maan lena hay
kyun k ye to hona hay
kyun k phir December hay.
Aasman pe kia dekhen?
dhund ki hukoomat hay
kuchh nazar nahi aata
urr chukay parinday bhi
sard sard podon se
phool bhi to ghaiyb hen
aik wo jo gulshan mein
khush gulu si koyal thi
wo bhi ab nahi gaati
kyun kharray darakhton pr
chhai ye udaasi hay
zard zard pattay hen
kis qadar khamoshi hay
aik sard mehri hay
Ghaur se zara dekho
doobta hua suraj
apni be-zubani mein
keh raha hay dunia say
iss gulab manzar say
doobnay ka ye lamha
kisqadar sitamgar hay
kia kahen December hay
zeest ki kahani ko
sochh ki rawani ko
rokna hi behtar hay
khirkiyon k pardon say
jhaank kr zara dekho
bheega bheega manzar hay
ab k phir udaasi he
[...] Read more
poem by Shahzia Batool
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!