Ghazal! ! ! (Urdu)
Arsa e zeest ko sadiyon ka safar jana hay
Phir bhi ik roz tou hr shakhs ko mr jana hay
Meray Mabood tamannaon ka ambaar lye
Dar Tera chhor kar ab aur kidhar jana hay
Jald ponhchay khabar e khair musafir ki k phir
Sham ki qabr mein suraj ko utar jana hay
Kitnay dilkash se hua krtay hen aksar lekin
Ankh khultay hi tou khwabon ko bikhar jana hay
Saans chalti hey jisay dekh k hur dum apni
Uss ko duniya ki tamaazat mein shajar jana hay
Yeh jo manzil tumhe lagti he yeh manzil to nhi
Akhir iss se bhi kisi pal mein guzar jana hay
Dil agar mujh se lagao gay to pachhtao gay
Mein musafir hun mujhe laut k ghar jana hay
Ghair mumkin nhi dunya men koi kam Batool
Jo kisi se nhi hota hay wo kr jana hay...
poem by Shahzia Batool
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!