Ghazal! (Urdu)
(prize-winner in poetry competition
HIKC Lhr 2007)
Sitam ka baar uthaanay me kuchh kami na rahi
Bujhi he pyas kuchh esi k tashnagi na rahi
Nigah e naz ki jumbish pe jal uthhay taaray
'Phir us k baad charaghon me roshni na rahi'
Ajeeb silsila e ishq ki yeh manzil he
Mila Khuda to tamanna e bandagi na rahi
kuchh ese pal thay k mehfil ki jan thay hm bhi
Or ab yeh haal k khud se bhi dosti na rahi
Kahan kahan pe hukoomat he uss ki yadon ki
Wo kia gaya k gulon pe bhi taazgi na rahi
Guzar sakay to nhi jaan se pr tumharay baad
Rahi zaroor, , , mgr wesi zindagi naa rahi! ! !
poem by Shahzia Batool
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!